Click on the Play Button to hear the audio while reading
Bas ek hi faasle ki doori hai
Zindagi aur maut ke beech
Kaun jaane kab koi is taraf
Ya kab koi us taraf ho jaaye
Ab aur tab ke shabdon mein
Sirf ek akshar ka antar hai
Ab bolte hi, tab ho jaata hain
Waqt kisi ke liye nahin rookta
Khush rahein ab, jab tak hain jaan
Ab ki ab mein jeeyo, ji bhar ke yahaan
Taaki is pal ki khushi beet na jaaye
Aur tab hume afsos na ho
Palat ke dekhna chhod do abhi
Taaki ek palat ka samay vyast na ho
Aagey nazar rakh ke chale toh
Na jaane do pal bach bhi paaye?
2 Comments
बहुत सुंदर शब्दों में रची हुई है कविता।
Thank you so much Ravi Ji, for your valued comment….you are a wonderful poet, and much more, so your appreciation means a lot! God bless! ❤️💐🙏