A HOLY SABBATH PRAYER
August 5, 2024
Show all

AAGEY BADHO

AAGEY BADHO

 

Har vyakti duniya mein aatey hee

Sikhne aur pehchaanne lagta hain

Payr mein taaqat aate hi

Woh chalna sikhta hain

Mooh mein daat aate hi

Woh bolna sikhta hain

Akkal tej aur awaaz buland bana kar

Woh yeh jaanane aur samajne lagta hain ki

Usse kis raah par kadam kadam se chalna hain,

Iss dharti par humme maalik kise maanana hai

Aur khud ki kya ehmiyat hain yahaan.

 

Usi samay, dharam aur karam

Dono lekar jeena sikh jaata hain

Aaram kis samay lena hai

Kab kaarya, josh aur lagan lagaakar karna hai,

Izzat aur shaurat kaise kamaana hai,

Pyaar mohabbat ka behad anand kaise paana hai

Aur jimmedari aur lagan se aage badhna hai

Jaise jaise umar badh jaati hain

Waise buddhi aur samajh gehre ho jata hai

Samajh lo usne apne pairon par khada hona seekh liya

Kisi aur ke sahare ki koi zaroorat na rahi

 

Insaaniyat ka mool jaanana zaroori hain

Bhagwan ki usool jaanana zaroori hain

Shakti aur veerta kis samay upyog karna hain

Daya aur kripa ka sahara kis par bahaana hai

Teer nazar kis par rakhni hain

Pyaar ki drishti se kisko manaana hain

Yeh sab jaankari hamara dil aur dimag par chapaa hai

Hum jab chahe use chhaankar yaad kar saktein hain

Toh kisi ki kya himmat ke hume rok sake

Jab Bhagwan se khud hume aage badhne ki anumati mili hain!

Nischint raho aur aage badho, yeh bhagwan ka updesh samajh lo.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *